ग्रुप से जुड़ें
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega: बिहार सरकार द्वारा 10वीं पास का स्कॉलरशिप कब आयेगा, डायरेक्ट लिंक @bseb10thresult.org

On: 25/05/2026
Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega: Apne saal 2026 mein Bihar Board se matric (10th) kaksha ki pariksha pass kiya hai aur aap sabhi aage ki padhai karna chahte hain jisko lekar aap sabhi aarthik sahayata ka intezar kar rahe hain toh Bihar Sarkar ke taraf se khushkhabri samne aa gayi hai. Shiksha vibhag dwara vittiya varsh 2026 se 2027 ke liye Mukhyamantri Balak Balika Protsahan Yojana ke taht adhikarik suchna jari ho gayi hai. Bihar Board se matric pariksha pass karne wale yogya chhatra-chhatraon ko 10000 se lekar ₹8000 tak ki protsahan rashi seedhe unke bank khaate mein bheji jayegi.

Is yojana ke madhyam se samanya varg, pichhada varg, atyant pichhada varg, anusuchit janjati, anusuchit jati varg ke sabhi chhatra-chhatraon ko alag-alag yojana ke taht unka laabh diya jayega. Shiksha vibhag dwara unke sah Yogi portal Medhasoft taiyar kiya gaya hai jahan aap sabhi chhatra-chhatraon online aavedan kar sakte hain aavedan karne ki prakriya 25 May 2026 se shuru ki jayegi.

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega: Overviews

ParticularsDetails
Article NameBihar Board Class 10 Scholarship 2026
DepartmentShiksha Vibhag, Bihar Sarkar
BoardBihar Vidyalaya Pariksha Samiti (BSEB), Patna
Amount of Scholarship₹8,000 से ₹10,000
Application Start Date25 मई 2026
Payment ModeDBT (Direct Bank Transfer)
Official Websitemedhasoft.bihar.gov.in

Also Read –

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega Online

Bihar Board se matric pariksha pass kiya hai toh aarthik sahayata ke liye Bihar Sarkar ki taraf se scholarship ki yojana ka laabh lena chahte hain toh aap sabhi ko bata de ki shiksha vibhag Bihar Sarkar dwara Mukhyamantri Bal Balika Protsahan Yojana ke taht online aavedan prakriya shuru karne ki adhikarik suchna jari kar diya hai.

Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti (BSEB) Patna dwara aayojit varshik pariksha 2026 mein utteern chhatra evam chhatra ki suchi Medhasoft portal par upload karwa diya gaya hai aap sabhi portal par login karke apni jankari ko check kar sakte hain baaki sabhi jankari humne is post mein vistar roop se diya hai jise padh kar aapko jankari mil jayegi.

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega : Scheme Wise Details

Bihar Sarkar dwara dasvin pass chhatron ko scholarship yojana ke madhyam se protsahan rashi alag-alag pradan ki jayegi jise aap sabhi dekh sakte hain is prakar se hain.

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 योग्यता

Bihar Board se 10th pass karne wale chhatraon ko kya kya yogyata honi sabse zyada zaroori hai.

  • Chhatra evam chhatra Bihar rajya ke mool niwasi hona chahiye.
  • Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti se varshik dasvin ki varshik pariksha 2026 pass ho.
  • Is yojana ke madhyam se pratham shreni aur dwitiya shreni pass hona anivarya hai.
  • Kuch yojanaon ke liye varshik parivarik aay 150000 se kam honi chahiye.
  • Chhatra ke naam par bank khaata hona chahiye jisme aadhar se link ho aur DBT saksham ho.
  • Aavedak ka aadhar card hona zaroori hai.
Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega
Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Kab Aayega

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 दस्तावेज

Bihar Board matric pass scholarship ke liye kuch zaroori dastavez is prakar se neeche diya gaya hai.

  • Matric marksheet.
  • Aadhar card
  • Bank passbook
  • Jati praman patra
  • Niwas praman patra
  • Aay praman patra
  • Email ID
  • Mobile number.

Bihar Board Class 10 Scholarship 2026 Form Kaise Bhare

Bihar Board matric pass scholarship 2026 ke liye aavedan bilkul hi aasan hai aap ghar baithe aasani se aavedan kar sakte hain neeche diye gaye step ko follow karein.

  • Sabse pehle aapko Medhasoft ki adhikarik website par jaana hai.
  • Home page par Mukhyamantri Balak Balika Protsahan Yojana 10th pass ka vikalp dikhai dega uske neeche apply for online par click karna hai.
  • Aapke samne online aavedan karne ke liye ek page khulkar aa jayega.
  • Iske baad aapko new student registration par click karna hai tab aapke samne form khulkar aayega.
  • Uske baad aapko mobile number email ID OTP ke madhyam se verify karna.
  • Registration karne ke baad आपको bank khaate ka verification pura karna hoga.
  • Tab aapko Medhasoft portal ke taraf se user ID aur password prapt ho jayega.
  • Iske baad aap login karke maange gaye sabhi dastavez ko upload karna hai.
  • Aavedan patra ko submit karne se pehle ek baar acchhi tarah se check kar lena hai.
  • Iske baad aapko raseed prapt hoga use sambhal kar rakhna hai.

Bihar Board Matric Pass Scholarship Status Check 2026

Apne aavedan ki sthiti jaanna chahte hain toh neeche diye gaye step ko follow kar sakte hain.

  • Sabse pehle aapko adhikarik website par jaana hai.
  • Home page par report plus tab par student ke vikalp click karna hai.
  • Tab aapko wahan par click here to view application status vikalp par click kar dena hai.
  • Iske baad aapke samne naya page khulkar aa jayega.
  • Ab aap registration number aur anya jankari darj karna hai.
  • Sabhi jankari ko darj karne ke baad submit vikalp par click karna hai.
  • Tab aapke samne aapke aavedan ka status dekhne ko mil jayega.

Important Link

Apply OnlineClick Here
Check StatusClick Here
Join TelegramClick Here
Join WhatsAppClick Here
Official WebsiteClick Here

Bikash Pandit

Main ek shiksha premi aur blogger hoon, jise pichhle 6 varshon se shaikshanik kshetra (educational field) mein likhne aur chhatron ka margdarshan (guidance) karne ka anubhav hai. Mujhe Bihar Board ke students ki madad karne mein bahut khushi milti hai. Is website ka mukhya uddeshya (goal) 10th class ke students ko sahi samay par, ekdam sahi aur aasaan bhasha mein jaankari uplabdh karana hai—chahe woh exam ki dates hon, result updates hon, ya phir padhai ke liye zaroori tips. Mera manna hai ki sahi guidance milne par koi bhi student apni mehnat ka fal zaroor pa sakta hai.

Leave a Comment